Cloudflare Kya Hai – Blog Par Free CDN Setup Kaise Kare

Cloudflare Kya Hai – CDN Setup Kaise Kare

Blog Par Cloudflare Kaise Install Kare:Hello Dosto Swagat hai aapka Hamare HaxiTrick blog par dosto agar aap bhi blog ki loading speed se pareshan hai. aur apne blog per free SSL certificate install karna chahte hai. To aaj hum aapko Ek Aise CDN Jis ki Full Form Content Delivery Network Hai, Ke bare me batane Wale hai, Jiska Naam Cloudflare Hai. Ji haan dosto aaj me aapko Cloudflare kya hai, what is Cloudflare in Hindi Or Blog Website Par Cloudflare setup kaise kare ke bare me batane wala hu.

what is cloudflare kya hai blog par setup kaise kare hindi
What Is Cloudflare in Hindi – Blog Par CDN Kaise Setup Kare

Cloudflare Kya Hai – What Is Cloudflare In Hindi

Dosto Cloudflare 1 free Content Delivery Network hai, jo ki aapke blog ke code aur images ko compress karne ke bad aapke blog ki loading speed ko increase karta hai, aur isi ke saath saath ye aapko Free SSL certificate bhi provide karata hai jisse aap apne blog website ko free me secure bana sakte hai. Jo ki Google Ranking ka sabse best factor hai.

Cloudflare Abhi 2 version me available hai free or paid version, aapko paid version buy karne ki koi jarurat nahi hai, Kyunki aapko iske free version Me hi vo sabhi options mil Jaate hai. Jo ki aapke blog ke liye useful hai.

Cloudflare Kaise Work Karta Hai

Jab aap apne blog per cloudflare ko activate karte hai. To ye aapke blog Par Ek host Ki Tarah work karta hai, Iska setup karte time aapko Cloudflare ke Server name ko apne domain me add karna Hota Hai, Jis Se aapke blog par Aane Wala traffic pahle cloudflare Se passout Hote hue jata hai or Cloudflare ki security Ke Karan Hi aapke blog per Spam aur illegal activities filter kar di Jati Hai, jo aapki website ko secure banata hai.

Benefits Of Cloudflare – Cdn Ke Fayade

Cloudflare cdn use karne ke waise to bahut Sare fayde hai. lekin jo main benefits Hai, Vo me aapko yha bta deta hu, Or Inhe thoda sa explain bhi kar deta hu taaki aapko acche se samjh aa sake.

1. For Increasing Loading Speed

Jo Blogger/Wordpress ka istemal Karte hai, Vo cloudflare ka istemal Apne blog ki loading speed ko badhane ke liye Karte hai. Cloudflare ke speed option me jakar aap apne blog ki loading speed ko aasani Se Increse Kar sakte hai. Is se aapke Blog Ke HTML CSS or JavaScript ke code compress kar Diye Jate hai.

2. Installing Free SSL Certificate

Cloudflare aapke website blog ke liye free SSL (Secure Socket Layer) Certificate provide karata hai, SSL certificate Install karne se aapke blog ka URL http se https ho jata hai, jisse aapke blog ki ranking Google me increase Hona shuru ho jati hai.

3. Cloudflare Cdn Saves Bandwidth

Cdn cloudflare aapke blog par spam traffic ko filter Karke aapke bandwidth ko save karta hai, Ager Aap Limited Bandwith Use Karte Hai, To Ye Aapke Bandwidth Ke Paise bhi Save karega.

4. Protecting From Attacks

Dosto CDN Cloudflare blog par Aane Wale attacks se aapke website ko save karta hai, Ye aapke blog per Spam traffic ko Filter Karta hai, Aur aapke blog Ko Hack Hone se bhi Bachata hai, Jo ki aapke blog ki security ke liye best hai.

CDN Cloudflare Setup Kaise Kare

Dosto Agar aapke blog ka loading time 4 second se jyada hai to aapko cdn Cloudflare ka use karna hi chahiye, Agar aapke blog ki speed 4 second se kam hai, To aapke blog ka Bounce rate Increase aur aapke blog ka traffic decrease Hoga, Kyunki aaj ke Jamane me Sabhi jaldi me rehte hai, aur slow website ke liye wait karna Koi pasand nahi karta, to ab me apko cloudflare cdn ko blog me setup kaise kare ke bare me aapko batata hoon.

    • Step-1. Sabse pahle aap Cloudflare.com website Par Jaye aur Wahan Sign up/Register Kare.
    • Step-2. Sign up ya register karne ke baad Aap Ke Samne + Add site ka option Dikhai Dega Wha aap apne blog ka Domain enter Kare aur Add Site per click kar de.
How to add site in cloudflare in hindi
Add Site In Cloudflare In Hindi
    • Step-3. Add Site per click karne ke baad Next Par Click Kare. Ab Aap Ke Samne 1 page open hoga Jisme aapko Plan Select Karne Ke Liye Kaha Jayega, Yha Aap Free Plan Ko Select Kare Aur Confirm Plan Par Click Kare. Popup Open Hone Par Dobara Confirm Par Click Kare.
choose a free cloudflare plan
Choosing Plan For Cloudflare
    • Step-4. Scanning Hone Ke Baad aapke Samane Aapke DNS Record Show Honge Yha Continue par click kare.
scanning dns from your root domain in hindi
Scanning DNS From Your Domain
    • Step-5. Yha Aapko Aapke Domain Name Provider Ki Website Me Login Kar Vha Ke Name Server Ko Cloudflare Ke Name Server(DNS) Record se replace karna hoga.
Cloudflare me name server cahnge kare
Change DNS In Cloudflare

Me Aapko Namecheap Me DNS Change Krna Bta deta hu.

यह भी पढ़े: Google Par Free Blog/Website Kaise Banaye

Changing Name Server (DNS) In Namecheap

    1. Sabse Pahle Aap Apne Namecheap Account Par Login Kare Le.
    1. Ab Yha Left Sidebar Se Domain List Par Click Kare Or Apne Domain Ke Manage Option Ko Select Kare.
namecheap me domain name server change kaise kare
Changing DNS In Namecheap
    1. Iske Baad Aapko Name Servers Me Se Custom DNS Ko Select Karna Hai.
replace dns with cloudflare server name
Step-2: Replace DNS With Cloudflare DNS
    1. Aur Cloudflare Ke DNS ko 1-1 Karke Add Kar Dena Hai.

Aapne jaha se apna Domain name liya hai, waha se aap apna Nameserver change kar sakte hai.

यह भी पढ़े: नेक्समनी क्या हैं – NexMoney से पैसे कैसे कमाए

    • Step-6. Name server Change Karne ke bad aap cloudflare me Aakar ise verify Karde, verify hone me kam se kam 24 ghante ka Time lag sakta hai, Lekin ye Kabhi-Kabhi 30-60 minute me bhi ho jata hai.
  • Step-7. Verification complete hone ke baad aap ke Mail Par Ek message receive hoga, jo ki aapke Blog Par cloudflare successful startup hone ka hoga.

Iske baad aap apne Cloudflare Account par Login Karke Free SSL certificate Install Aur Blog speed ko increase kar sakte hai.

अंतिम शब्द

Dosto Blogger Aur WordPress Use Krne Vaalo Ke Liye CDN Setup Karna Bahut Jaroori Hai, Ye Free Hai To Ise Install Karne Me Aapko Koi Problen Nahi Honi Chahiye.

Friends Ye Thi Hamari Aaj Ki cloudflare ki post Jahan Aaj Humne Cloudflare Kya Hai, What is cloudflare in Hindi, Blog Par Free Cloudflare Setup Kaise Kare ke bare Me Sikha.

Ager Aapko In me se koi bhi step follow karne me problem ho rahi hai ya aapko Koi CDN ko Lekar Koi Or Problem hai to aap Hame Comment Karke bata sakte hai.

👇 इस जानकारी को शेयर करें 👇