ShutterStock Kya Hai – Photography Se Paise Kaise Kamaye

ShutterStock Kya Hai – Is Se Paise Kaise Kamaye

Kya aap ek acche photographer hai? kya aap high quality photography karte hai? ya aap ek bahut acche graphic designer ya photo editor hai? To aaj me aapko shutterstock ke bare me batane ja raha hoon jahan aap apne photos ko sell kar ke acchi income kar sakte hai. Ji haa dosto aaj me aapko Shutterstock kya hai? aur Shutterstock se paise kaise kamaye? ke bare me batane wale hu.

Aaj kal mostly sabhi logo ke paas DSLR Camera hota hai, agar DSLR Camera nahi to android mobile to hota hi hai, Aur aaj ke daur me middle range android smart phones ke cameras DSLRs ko takkar dete hai. Agar aap bhi photography ke shokeen hai, achi photos click kar lete hai aur photography me apna career banana chahte hai, to aap Shutterstock par photo selling karke paise kama sakte hai.

Shutterstock Kya Hai Paise kaise kamaye
Make Money With Shutterstock In Hindi

Shutterstock Kya Hai

Dosto shutterstock online photo selling aur purchasing website hai is par aapko kai dusre features bhi mil jayenge. Jaise ki Illusion, Gif aur Video clip bhi aap is website par upload kar sakte hai. Shutterstock par paisa kamana bahut aasan hai yahan par aapko keval acchi acchi photo ko click karke shutter stock par upload karna hota hai aur log use purchase karte hai jiske aapko paise milte hai.

यह भी पढ़े: Paisa Kamane Wala App 2019 {100% Working}

Shutterstock Photography Se Paise Kaise Kamaye

Dosto agar aapke paas photography ka talent hai ya aap ek acche photo editor hai, aur aap high quality photos click karne me mashir hai, To aap shutterstock se aasani se paisa kama sakte hai. Shutterstock par photo sell karne ke liye aapko shutterstock par apna ek account create karna hota hai, Jo ki bilkul free of cost hota hai. Aaiye me aapko shutterstock par account banana bhi sikha deta hoon jisse aapko koi pareshani na ho.

यह भी पढ़े: We Media Shareit Se Paise Kaise Kamaye

Shutterstock Par Account Kaise Banaye

Shutterstock par account banana bilkul aasan hai yaha aapko simple steps ko follow karke apna account create karna hai, Aur aap ko apne sare details ko bilkul sahi-sahi feel karna hai.

  • Step-1. Sabse Pahle Aap Shutterstock Contributor Ki Website Shutterstock.com Ko Open Kare.
  • get started With Shutterstock
    Get Started With Shutterstock

  • Step-2. Yha Get Started Par Click Kare Or Apna Naam, Email Aur Paasword Enter Krke Next Kare.
  • Shutterstock kaise join kare in hindi
    Joining Shutterstock

  • Step-3. Ab Apne Email Inbox Me Jakar Aapke Email Par Aaye Shutterstock Link Se Account Verify Kare.
  • Shutterstock Email Verification in hindi
    After Verifying Email

  • Step-4. Verification Complete Hone Ke Baad Aapko Apna Address Aur Phone No. Fill Karna Hai.
  • Registration Process In Hindi
    Registration Process

  • Step-5. Ab Aapko Apna Valid Government ID Proof ( Jaise: Aadhar Card, Voter Id Card, Driving Licence ) Ki Photo Ko Upload Karna Hai.
  • Step-6. Ab Aap Apni Details Check Karke Final Submit Kar De, Iske Baad Shutterstock Team Aapke Account Ko review Karegi.
  • images kaise upload kare
    Upload Images on Shutterstock

  • Step-7. Aapka Account Approve Hone Baad Aap Shutterstock Par photos Upload Kar Sakte Hai.

यह भी पढ़े: नेक्समनी क्या हैं – NexMoney से पैसे कैसे कमाए

Aaiye Aapko Shutterstock Ke Rules Aur Is Par Photo Kaise Upload Kare Ye Bhi Bta Dete Hai.

Shutterstock Par Photo Upload Karne Ke Rules

  • Yha Upload Karne Ke Liye Aapki Photo Minimum 4 Megapixel Ki Honi Chahiye.
  • Aapka Account Approve Hone Se Pahle Aap Maximum 10 Photo Upload Kar Sakte Hai.
  • Shutterstock Par Photo Upload Karne Ke Baad Aapko Uska Correct Title, Tags Aur Category Ko Bhi Enter Karna Hoga.

  • यह भी पढ़े: Tik Tok Kya Hai – Tik Tok Se Paise Kaise Kamaye
  • Shutterstock Par Image Upload Kaise Kare

    Apne account to create kar liya hai lekin account create karne se kuch nahi hota yahan aapko photo bhi upload karni hoti hai jisse aap ki earning hoti hai aaeye aap ko batate hai ki shutter stock par image upload karke earning kaise kare.

    • Step:1. Sabse Pahle Aapko Shutterstock Account Par Login Karna Hai.
    • Step:2. Shutterstock Account Par Sign In Karne Ke Baad Aapko Yha Uper Ki Side, Upload Image Ke Button Par Click Krna Hai.
    • Step:3. Upload Image Par Click Krne Ke Baad Aapko Select Multiple Files Ke Option Par Click Karna Hai, Aur Apni Images Ko Select Karke Upload Kar Dena Hai.
    • Step:4. Ab Aapko Upload Ki Gayi Images Ki Details Fill Karni Hai.
      • Image Type
      • Usage
      • Description
      • Category
      • Enter Keyword

    • At Last Aapko Ise Submit Kar Dena Hai.

    यह भी पढ़े: E-Book Sell करके पैसे कैसे कमाए

    Dosto jab aap ki photo shutterstock par upload ho jayegi tab, jab kisi vyakti ko aap Upload ki gayi photo pasand aati hai aur vo use download karna chahta hai to usko iske liye kuch amount pay karna hoga jo aapki income hogi.

    Shutterstock Minimum Payout

    Shutterstock ka minimum payout 35$ hai, Or aap apna payout Paypal/Skrill/Payoneer Se le Sakte hai lekin agr aap check lena chahte hai to aapki earning $500 hone ke baad aap ese Check ke through le sakte hai.

    Nishkarsh

    Ager aap ek acche photographer ya video maker hai to aapko ise jaroor join karna chahiye, aur ager aap chahe to shuru me ise part time kar sakte hai aur baad me jab aapki acchi income hone lage to aap ise full time career ki tarh bhi use kar sakte hai.

    यह भी पढ़े: Internet Se Online Paise Kaise Kamaye 2019 – बेस्ट तरीके

    अंतिम शब्द

    Dosto aaj ki is post me humne online photo sell karke paise kaise kamaye, shutterstock kya hai, shutterstock par account kaise banaye in sabhi chijon ke bare me jaana.

    To dosto I hope aapko shutterstock in hindi ki ye post achi lagi hogi, agar acchi lagi to apne dosto ke sath share karen aur shutterstock in hindi aur online photography se paise kamane ko lekar agar aapke man me koi sawal ya sujhaav hai to aap niche comment karke hume bata sakte hai