YouTube Hashtag Kya Hai, Kaise Use Kare – Fully Explained

YouTube HashTag Kya Hai, Kaise Use Kare | What Is Hashtag in Hindi

YouTube Hashtag Kya Hai, Youtube Hashtag Kaise Use Kare, Youtube Hashtag Ke Fayde, Aaj hum Youtube Hashtag ke baare me acchi tarh samjhne vaale hai, jaisa ki aap sabhi ko pta hai ki Youtube ne 2018 me Youtube Hashtag ko launch kiya hai, jisme aap Youtube Videos Me Hashtag ka Use Kar Sakte Hai,

What Is YouTube Hashtag Kya Hai Kaise Use Kare in Hindi
What Is YouTube Hashtag Kya Hai Kaise Use Kare in Hindi

aur Iske Baare Me Jayda Knowledge na hone ke Karan Kuch Youtube Creators Iska Galat use kar rahe hai. To Aaj Hum Youtube Hashtag ka Sahi Use Karna Sikhenge, Lekin hum us se pehle ye samjhenge Ki aakhir Ye Hashtag kya hai, Jise Samjhna Sabse Jayda Jaruri Hai. To aaj Hum Jaan ne Wale Hai YouTube Hashtag Kya Hai, (What Is Hashtag in Hindi) Youtube Hashtag Kaise Use Kare

HashTag Kya Hai – What is Hashtag in Hindi

HashTag main aapko sabse Pehle 1 hash ka Symbol Jise log Pound (#) bhi kehte hain, uske baad Aap jo keyword Jo shortcut likhna Chahte Hain likh sakte hain. Aap hashtags se Kisi bhi content ko viral kar sakte hain to hashtag ka Use Sabhi social media networks par Kiya Jata raha hai jaise ki Facebook, Instagram, Pinterest Aur Twitter to Agar aapko Koi popular hashtag use kar rahe hain.

Also Read This: Video/Audio से Background Noise कैसे Remove करें

jaise ki Jio Phone Ke liye #jiophone Toh Jaise hi aap Kisi bhi social media platform par #jiophone par click Karenge toh aapko us #jiophone se related Sabhi topics yaniki Jin Jin Logon Ne #jiophone ka Use apni post mein kiya hai, ya apni video mein kiya hai, Wo sabhi aap ko ek Sath 1 Page Par Show Honge. Yani Ki Jio Phone category ki jankari aap ko ek Sath mil Jayegi, Jisme se aap ek Sath Sabhi Jankari, Sabhi Ke vichar aasani se padh sakte hain. aapko Jyada search karne ki jarurat nahi hogi. To Aaiye Hashtag Ka Use Karna Bhi Hum dekh Lete Hain ke hum Hashtag Kaise Use Kare.

Also Read This: YouTube से पैसे कैसे कमाए – Hindi Me 2020

Hashtag Kaise Use Kare – How To Use

HashTag Ka Use sabse pahli bar 2007 mein kiya gaya tha, Jo ki Pichle kuch Saalon Mein kaafi Jyada popular ho chuka hai aur kaafi Jyada Use me laya ja raha hai.
HashTag ka Use Kisi Ek particular topic par Kiya Jata Hai, Maine Dekha hai bahut Sare log apni Har Kisi Word Ke Sath Hastag ka Use karte hain.

jaise ki #I #am #feeling #cool to in Sabhi hashtag ka koi matlb nahi hai. Iska Sahi Use Kisi Ek particular topic Yaani ki Keyword ke Sath Kiya Jana Chahiye.

To agar aap Har Kisi word Ke Sath Hashtag ka Use kar rahe hain to ye kisi kaam ka nahi hai uska koi particular sense hi nahi hai, Kyu ki #I Ya #am Ka Koi particular topic nahi hai.

toh aapko trendings me Jaa kar check karna hai ki sabse popular hashtags kya hai aur aap un Hashtags ka Use kare. jaise ki jio Ne Apna naya phone launch kiya tha jis mein Unka hashtag tha #jiophone toh aap apni post karte samay #jiophone ka use kar sakte hain Jo ki 1 achha Topic aur hashtag hai jisse ki uss particular hashtag Mein Aapki post Dikhai Jayegi. Aur Jio Ke Liye Ye Ek Analytic/Survey Ki Tarh Use Kiya Jayega.

Also Read This: AdSense Ke Liye Kaise Apply Kare

YouTube Hashtag Kya Hai – What Is Youtube Hashtag in Hindi

Jaisa ki aap Sabhi Jante Hain YouTube ne jald hi Youtube Hashtag ko Launch Kiya Hai, Jahan aap YouTube ki video ke sath hashtag ka use kar sakte hain. Ye feature ab tak Facebook or Instagram par available tha lekin Haal hi Mein YouTube ne bhi ise launch kar diya hai.

Youtube Hastag bhi Inhi Hashtag ki tarh hi Work Karta Hai, Iska Koi Alag Explanation Nahi Hai, Jaisa Ki Maine Abhi Aapko Hashtag Kya Hai Ke Baare Me Bataya Tha, To Ye Sabhi Hashtags Ke Liye Same Hi Hai, chaahe vo Facebook Hashtag Ho, Twitter Hashtag Ho, instagram Hashtag Ho Ya Fir Youtube Hashtag. Ab to Aap Samjh Hi Gaye Honge Ki Youtube Hashtag Kya Hai

Also Read This: YouTube Dark Mode Kya Hai – Dark Theme Kaise Enable/On Kare

YouTube Hashtag Ke Fayade

Youtube Hashtag se aap apne video ke views to increase kar sakte hain, yaani ki agar aap sahi se iska Use kar rahe hain to aapke YouTube videos par Kafi accha traffic aapko mil sakta hai to YouTube se aap apni video ki search rank Increase kar sakte hain. lekin agar aap Youtube Hashtag ka galat Use karte hain toh aap ke upar community guidelines bhi aa sakti hai to aaj Hum batane wale ke Kis Tarah Se aap Youtube Hashtag ka Sahi Use kar sakte hain. Youtube Hashtag Kaise Use Kare, How to use YouTube hashtags

Also Read This: Best Must Have Android Apps For YouTubers 2020

YouTube Hashtag Kaise Use Kare – Rules

    • 1. Hashtag Count: YouTube hashtag aap ek video ke Description mein 15 hashtag use kar sakte hain lekin main aapko Salah Dunga Ki aap ek video par Kewal 8-10 hashtag hi Use kare, jo ki ek accha hashtag count hoga.
    • 2. Title Hashtag: Aap 1 hashtag Apne YouTube video Title main bhi use kar sakte hain. Lekin Me To Yahi Kahunga ki Aap Iska Use Discription me hi kare. Title Aap Normal Hi Rakhe.
    • 3. No Space: Aap apne hashtag ke beech mein space nahi de sakte. jaise ki aap 2 shabdo ka koi word hashtag ke sath use karna chahte hain to aapko Ye Dono Shabd hashtag ke baad Bina space Diye likhne Honge jaise ki jio phone toh aapko jio aur phone ke Beech Mein koi Space nahi dena hai, aap ko continuous #jiophone likhna hai.
    • 4. Irrelevant Hashtag: Aap koi bhi irrelevant Hashtag use nahi kar sakte yeah Yaani Ki Aap Jo hashtag use Karenge aap ki video se related hona chahiye jaise ki agar aap Kisi video mein jio phone ke baare mein Bata rahe hain toh aapko jo hashtag dene Hain when jio phone se related hi dene hai. Aap usme Samsung phone Micromax phone redmi phone Is Tarah Ke Hashtag use nahi kar sakte ya community guidelines ke virudh hai.
  • 5.Dirty Hashtag: Aap HashTag me koi bhi vulgar hashtag use nahi kar sakte, ya phir Koi aapattijanak Hashtag use nahi kar sakte. Maine Dekha hai Video Viral Karne Ke Kiye bahut Sare log Hashtag me s#xual content ke Hastag use karte hain jo ki YouTube guidelines ke virudh hai.

Note: Youtube Hashtag aapko aapki video title ke upar dekhega aur apne jitne bhi hashtag apni video description Mein use Kiye Hain unme se kewal Shuru ke 3 hashtag hi aapko video title ke upar Dikhai Denge, to aap Chahe jitne bhi hashtag use kare 8, 10 Ya 15 aapko kewal Sharu ke 3 hashtag hi aapke video title ke upar Dikhai Denge.

अंतिम शब्द

Aapko Hamari Aaj Ki YouTube Hashtag Kya Hai, (What is Hashtag in Hindi), Youtube Hashtag Kaise Use Kare, Youtube Hashtag Ke Fayde Ki Ye Post Kaisi Lagi Hume Comments Kar Ke Jarur btaye, Is Post Ko Apne Dosto Ke Sath Bhi Share Kare, Taaki Unhe Bhi Ye Jankari Mil Sake.